Thursday 16 January 2014

Aawargi Main MOHSIN Is Ko Bhi Hunar Jana

Aawargi Main MOHSIN Is Ko Bhi Hunar Jana,, 
Iqrar_e_Wafa Karna Pir Us Sy Mukar Jana,, 

Jab Khwab Nahi Koi, Kya Zindagi Ka Karna 
Har Subh Ko Jee Utthna Har Raat Ko Mar Jana,, 

Shab Bhar K Thikany Ko ik Chatt K Siwa Kya Hai,, 
Kya Waqt Kya Ghar Jana, Kya Dair Se Ghar Jana,, 

Aisa Na Ho Darya Main Tum Baar_e_Giraa'n Thehro,, 
Jab Log Zyada Hon Kashti Sy Uttar Jana,, 

Suqraat K Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota,, 
Khud Zeher Piya Mian Ne Tab UsKa Asar Jana,, 

Jab B Nazar Aao Gye 
Hum Tum Ko Pukaren Gaye,, 
Chaho To Thehar Jana Chaho To Guzar Jana…

No comments:

Post a Comment

Labels