Saturday 18 January 2014

Muhabat ka bharam hota to phir kuch soch kar jaty

Muhabat ka bharam hota to phir kuch soch kar jaty* 
Warna zindgi ban k mery hamdam guzar jaty* 

Thaky hary prindo ko jo dekha to khyal aaya* 
Koi jo muntazir hota to hum b apny ghar jaty* 

Main khaa kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon* 
Ye thokar jo tumhein lagti to tum khud b bikhar jaty* 

Is tanhai ka hum py bara ahsan hy MOHSIN* 
Na deti saath ye apna to jany hum kidhar jaty

No comments:

Post a Comment

Labels