Thursday 16 January 2014

Sawaal Aik Tha, Lekin Miley Jawaab Bahut

Sawaal Aik Tha, Lekin Miley Jawaab Bahut 
Parrhi Hai Main Ne Muhabbat Ki Ye Kitaab Bahut 

Gai Bahaar To Phir Kon Haal Poochay Ga 
Karo Na Chahney Walon Se Ijtinaab Bahut 

Ye Aasman-o-Zamee'n Sub Tumhein Mubaarak 
Mere Liye Hai Ye Toota Huwa Rubaab Bahut 

Yahaan Pe Dekho Zara Ihtiyaat Se Rehna 
Miley Hain Pehley Bhi Ess Khaak Main Gulaab Bahut 

Main Jaanta Hoon Unhein, Waqat K Hawari Hain 
Jo Log Khud Ko Samjhtey Hain Kamiyaab Bahut 

Rah-e-Junoo'n Main Akela Nahi Main Khuwaar-o-Zabo'n 
Meri Tarah Se Huwe Hain Yahaan Kharaab Bahut 

Kis Ne Kasa-e-Sail Main Kuch Nahi Daala 
Samandaron Se Mein Karta Khitaab Bahut 

Khuli Huwi Hain Dukaane'n Kai Nigahon Ki 
Talab Ho Dil Mein To Peene Ko Hai Sharaab Bahut 

KHUDA Kare Wo Mera Aftaab Aa Nikle 
Dilon Main Aag Lagaata Hai Mahtaab Bahut 

Suna K Qissa Tumhein Kis Liye Udaas Karein 
K Hum Pe Tootay Hain Ess Tarah K Azaab Bahut 

Talaash-e-Yaar Mein Nikle Thay Jaa'n Se Haar Gaye 
Khabar Na Thi K Wo Zalim Hai Dairyaab Bahut 

Kabhi Wo Bhool K Bhi Ess Taraf Nahi Aaya 
Agarche Aate Hain Aankho'n Main Us K Khuwaab Bahut 

Ess Liye Tere Koocha Main Ab Wo Bheerr Nahi 
K Lutf Kam Hai Teri Aankh Main Utaab Bahut 

Yahaan Rahe Ga Tere Iqtidaar Ko Khatraa 
K Aate Rehte Hain Ess Dil Main Inqilaab Bahut 

Kisi Ko Bhej K Ahwaal To Kiya Maloom 
Mere Liye To Yahi Lutf Hai Janaab Bahut

No comments:

Post a Comment

Labels