Monday, 13 January 2014

Allama Iqbal Poetry





Hai Tawaf-o-Hajj Ka Hanganma Ager Baqi To Kia
Kund Ho Kar Reh Gayi Momin Ki Taigh-e-Be_Neyam
* * *

Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna,
But Khana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor Day...

Soda_Gari Nahi Yeh iBadat Khuda Ki Hai,
Aye Be_Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor Day...
* * *

In Taaza Khanda’on Me Bara Sab Se Watan Hai..
Jo Perahan Is Ka Hai Wo Mazhab Ka Kafan Hai….!
* * *

Ye Pichle Pehar Ka Zard Ru Chand,
Be Raaz-o-Niyaaz-e-Aashnai,
Teri Qandeel Hai Tera Dil,
Tu Aap Hai Apni Rooshnai…!
* * *

Ki Mohammad (PBUH) Se Wafa Tu Ne, To Ham Tere Hain,
Yeh Jahan Cheez Hai Kia, Looh-o-Qalam Tere Hain…!
* * *

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai, Wo Jafa Hi Nahi,
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahi…
* * *

Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga,
Sakoot Tha Parda_Daar Jiska, Wo Raaz Ab Aashkar Hoga
* * *

Sajdon Ke Iwaz Firdous Mile, Ye Baat Mujhe Manzor Nahi,
Be_Loos Ibadat Karta hun Banda Hun Tera Mazdoor Nahi
* * *


Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan

* * * 


Khuda Tujhe Kisi Toufan Se Aashna Kar De,
Ke Tere Behar Ki Mojon Mein Istraab Nahi…!


* * *
Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' Apni Kasht-e-Wiran Se,
Zara Num Ho To, Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi..


* * *
Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi,
Sikhaye Kis Ne 'Ismaeel (A.S)'  Ko Adaab-e-Farzandi..?

* * *
Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein,
Kargis ka jahan aur hai, Shaheen ka jahah aur,
ilfaaz-o-Mani me tafawat nahi lekin,
Malla ki Azaan aur, Mujahid ki azaan aur
* * *

Ishq Fakeer-e-Haram, Ishq Ameer-e-Junood,
Ishq hai Ibn-e-Sabeel, Is ke Hazaroon Muqaam...
* * *

Akhtar-e-shaam ki aati hai Falak se awaaz,
Sajda karti hai Sahar jis ko wo hai aaj ki raat,
Reh yak gaam hai himmat ke liye Aarsh-e-Bareen,
Keh rahi hai ye Musalman Meraj ki raat....
* * *
Dil Paak nahi to Paak Ho Sakta Nahi Insaan,
Warna Ibles ko bhi aate The Wusoo Ke Fraiz Bohat...!
* * *

Reh gai Rasam-e-Azan Rooh Bilali na rahi,
Falsafa reh gaya Talqeen-e-Ghazali na rahi...!


No comments:

Post a Comment

Labels