Sunday, 19 January 2014

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo
 Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai Usay Chupke Chupke Parha Karo

Koi Hath Bhi Na Milayega Jo Gale Milogay Tapak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Sheher Hai Zara Faisle Se Mila Karo

Abhi Raah Mai Kayi Morr Hain Koi AYega Koi Jayega
Tumhe Jis Kisi Ne Bhula Diya Usay Bholne Ki Dua Karo

Mujhe Ishtehaar Si Lagti Hain Ye Muhabbaton Ki Kahaniyan
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo Jo Suna Nahi WO Kaha Karo

Kabhi Husn-e-Parda Nasheen Bhi Ho Zara Ashiqana Libas Mai
Jo Ban Sawar Ke Kabhi Chalo Mere Sath Tum Bhi Chala Karo

Nahi Be Hijaab WO Chand Sa Ke Nazar Ka Koi Asar Na Ho
 Usay Itni Garmi Shok Se Bari Dair Tak Nahi Takka Karo. . . . .

No comments:

Post a Comment

Labels