Thursday, 23 January 2014

Jin Jharokhon Se Tamanna Thi Ke Barsain Gay Gulaab, ,

Jin Jharokhon Se Tamanna Thi Ke Barsain Gay Gulaab, ,
Un Se Barsay To Chamakte Howe Khanjar Barsay, , , , ,

Mohsin Ke Khayalon Main Utarti Hain Sar-e-Sham, ,

Mohsin Ke Khayalon Main Utarti Hain Sar-e-Sham, ,
Rim Jhim Ki Tarah Bandh Ke Ghungroo Teri Yadain, , , , ,

Ye taiz barish, hawa ka mizaaj or ye mosam...!!!

Ye taiz barish, hawa ka mizaaj or ye mosam...!!! 
Tm aj kuch b mat pocho k dil tm bin kitna udaas hay...!!

Barish ki Awargi ne har rut badal dali,,,

Barish ki Awargi ne har rut badal dali,,, 
Jinhein mushkil se bhoolay thay wo phir yaad aane lgay,,,,,!

Yeh Barish ka Mosam,

Yeh Barish ka Mosam, 
Yeh Thanda Sama, 
Batao !! Yeh Koi Waqt Hai Hum Se Door Rehne Ka.............?

SUNO! Tum Bohat Yaad Aaty Ho

SUNO! Tum Bohat Yaad Aaty Ho 
Dil main bus k 
dharkan ban Jaty ho! 
SUNO! 
Zara ye barish to dekho! 
Tum paani ban k 
aksr in ankhon 
mein Q utar aaty ho? 
SUNO! 
Ye faaslay kese Jo kabhi mit nahi paaty! 
Tum door ho lekin aksr paas rehty ho! 
SUNO! 
Tum bohot yaad 
aaty ho! 
Haan bohot yad aaty ho..

Qatra-e-Shabnam Ki Trah Urrh Jaen Gay Gul Se...!

Qatra-e-Shabnam Ki Trah Urrh Jaen Gay Gul Se...! 
Ek Yaad Si Reh Jaey Gi Gulshan Main Hamari..

Ye Zaalim Hawaayein, Ye Aawargi Ka Mosam or ye barish

Ye Zaalim Hawaayein, Ye Aawargi Ka Mosam or ye barish 
Kaaash......! 
Aaj Koi Moujza Ho K Deedaar-e-Yaar Ho Jaye....!!

Aj phir mujh ko uski yaad dila di BARISH ny,

Aj phir mujh ko uski yaad dila di BARISH ny, 

dil me jo bhol ki aag thi bhuja di BARISH ny, 

main tanha tha apny ghar main zamany se, 

magar mery ghar ki dewar gira di BARISH ny, 

us k zikar se ho gai meri ankhein num, 

magr dosto, ye sari baat chupa di BARISH ny! 

suna hai wo b royee hain aaj bohat, 

lagta hai un ko b meri yad dila di BARISH ny, 

wo bewafa hoe to phir kiya howa, 

aaj mery saath ro kar wafa nibha di BARISH ny

Barish Ki Bondon Main Jhalakti Hai Uski Tasveer. .

Barish Ki Bondon Main Jhalakti Hai Uski Tasveer. .
Aaj Phir Bheeg Betha Usay Paane Ki Chahat Mai. . . . .

Sun Rahe Ho Na Badlon Ki


Sun Rahe Ho Na Badlon Ki Garaj-o-Chamak. . . 
Haan Kuch Is Tarah Tarapta Hai Hamara Dil Apke Bina. . . .

Aaj Halki Halki Barish Hai

Aaj Halki Halki Barish Hai
Aaj Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hai
Aaj Phool Bhi Nikhre Nikhre Hain
Aaj Un Main Tera Aks Bhi Hai
Aaj Badal Kale Gehray Hain
Aaj Chand Pe Lakhon Pehray Hain
Kuch Tukre Teri Yaadon Ke
Bari Dair Se Dil Main Thehre Hain
Aaj Zehen Pe Tum Hi Chhaye Ho
Aaj Yaad Bohat Tum AYe Ho. . . .

Aye Barish Zara Tham Ke Baras. .

Aye Barish Zara Tham Ke Baras. .
Jab Wo Aaye To Jam Ke Baras. .
Pehle Na Baras Ke Wo Aa Na Sake. .
Phir Itna Baras Ke Wo Ja Na Sake. . . . 

Bheegi Barish Main Hum Dono Hi BeBass Thai. .

Bheegi Barish Main Hum Dono Hi BeBass Thai. .
Wo Zulfen Na Sambhaal Paaye Aur Hum Khud Ko. . . . .

Tuesday, 21 January 2014

Aanchal teri Yadoon ka bhigo deti hai barish

Aanchal teri Yadoon ka bhigo deti hai barish, 
Sochoon Pe jami Gard ko dho deti hai barish. 

Hans hans k sunaati hai jahan bhar k fasanay, 
Poochhon tere baare mein tu ro deti hai barish! 

Lagte hain Piyaare meri aankhon ko Ye manzar, 
Hairat! mere Ehsas ko wo deti hai barish! 

Yaadoon ki mehak ho Ya tere hijr k taanay, 
Chup chaap main rakh leta hoon jo deti hai barish! 

Mujh Par tu jo karti hy so karti hai inayat, 
Moti tere baalon mein Piro deti hai barish

Agli barish ka waada tha uss ka

Agli barish ka waada tha uss ka.. 
Koii uss sy kahy k aa jaao 
Barish lout ayi hai...!!

Barish Ka Maza Lena Ho To Humaari Aankhoon K Neeche Aa K Beth Jaao

Barish Ka Maza Lena Ho To Humaari Aankhoon K Neeche Aa K Beth Jaao 
"Dost" 
BADAL to Kabhi Kabhi Barste Hain Hum To Barsoon Se Baras Rahe Hain..

Kabhi Shokh Hain, Kabhi Gum Si Hain.

Kabhi Shokh Hain, Kabhi Gum Si Hain. 

Ye Baarishen Bhe Tum Si Hain...

Tum Jo Nahin Ho Sath Mere

Tum Jo Nahin Ho Sath Mere... 
To AAG Lagay Barsaaton Ko...!!!

SUno Jab Barish Barsa Karti Hai

SUno Jab Barish Barsa Karti Hai, 
Aur Har Soo Pani Hota Hai, 
Hum Apne Ghar K Aangan Mein, 

Logo Ko Dekha Kate Hain, 
Aur Tum Ko Socha Karte Hain, 

Suno! Jab Rat Siah Ho Jati Hai, 
Aur Chandni Phela Karti Hai, 

Hum Apne Ghar K Aangan Mein, 
Chup K Apne Bistar Par, 
Taron Ko Dekha Karte Hain, 
Aur Tum Ko Socha Karte Hain..

Gum Sum Sa Ye Din Khob Guzra Pata Hi Na Chala

Gum Sum Sa Ye Din Khob Guzra Pata Hi Na Chala, ,
Bus Khoye Thai Kisi Ke Khayalon Mai Ke Aaj Phir Shaam Ho Gayi, , , ,

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, ,
Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati, ,
Tu Mangay To Ye Jan Bhi Hans Kar Tujhe Donga, ,
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahi Jati, ,
Hamrah Tere Phool Jo Khilati Thi Dil Main, ,
AB Shaam Wohi Dard Se Khali Nahi Jati, ,
Hai Koi Jo Aa Kar Ye Tere Dard Sanbhale, ,
Mujhse To Ye Jageer Sanbhali Nahi Jati, ,
Main Jan Se Jaonga Tabhi Baat Banegi, ,
Tum Se To Koi Raah Nikali Nahi Jati, , , , ,

Sunday, 19 January 2014

Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi

Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi, 
Dil ki her gali tere naam kardi. 
Itna b na socha kesay ktay gi zindagi, 
Bas bina sochay her sans tere naam kardi

Sham K Surmai Andheron Me

Sham K Surmai Andheron Me, 
Youn Teri Yad Sath Chalti He, 
Jese Parbat K Sabz Perron Per, 
Barf K Baad Dhoop Parti Hai, 
Jese Sehra Ki Rait Urr Urr Kar, 
Ajnabi Ka Tawaf Karti Hai, 
Aah Bharta Hon Ashk Peeta Hoon, 
Roz Marta Hoon Phir B Jeeta Hoon, 
Kitni Masoom Aarzuon Ko Kis Tarah Log Torr Jatey Hain, 
Jese Dam Torrty Musafir Ko, 
Qafly Waly Chor Jate Hain, 
Sham K Surmai Andheron Mai, 
Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai..!!

Fiza Mein Mehkti Sham Ho Tum

Fiza Mein Mehkti Sham Ho Tum. 
Pyar Mein Chalakta Jaam Ho Tum. 
Tumhen Dil Mein Chupaye Phirte Hain. 
A Dost 
Meri Zindagi Ka Dosra Naam Ho Tum.

Ajeeb C Lgti Hy Shaam Kabi Kabi

Ajeeb C Lgti Hy Shaam Kabi Kabi 
Zindgi Lgti Hy Be Jaan Kabi Kabi 

Samaj Aaye Kabi To Hamen B Btana 
Q Krti Hen Teri Yaden Pareshan Kabi Kabi

Dopehr tk Bikk Gya Bazaar ka Hr Ek jhoot...

Dopehr tk Bikk Gya Bazaar ka Hr Ek jhoot... 
0r Main ek Sacha Pyar le kr Shaam tk Baitha Rha

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo
 Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai Usay Chupke Chupke Parha Karo

Koi Hath Bhi Na Milayega Jo Gale Milogay Tapak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Sheher Hai Zara Faisle Se Mila Karo

Abhi Raah Mai Kayi Morr Hain Koi AYega Koi Jayega
Tumhe Jis Kisi Ne Bhula Diya Usay Bholne Ki Dua Karo

Mujhe Ishtehaar Si Lagti Hain Ye Muhabbaton Ki Kahaniyan
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo Jo Suna Nahi WO Kaha Karo

Kabhi Husn-e-Parda Nasheen Bhi Ho Zara Ashiqana Libas Mai
Jo Ban Sawar Ke Kabhi Chalo Mere Sath Tum Bhi Chala Karo

Nahi Be Hijaab WO Chand Sa Ke Nazar Ka Koi Asar Na Ho
 Usay Itni Garmi Shok Se Bari Dair Tak Nahi Takka Karo. . . . .

Yeh dil Udaas Hy Bohat

Yeh dil Udaas Hy Bohat 
Koi Peghaam Hi Likh Do, 
Tum Apna Naam Na Likho 
Gumnam Hi Likh Do,! 

Meri Qismat Mein Gham_E_Tanhai Hai Mgr,! 
Tamaam Umar Na Likho 
Ek Shaam Hi Likh Do,! 

Yeh Janta Hoon K Umar Bhar Tanha Mujh Ko Rehna Hai,! 
Pal do Pal 
Ghari do Ghari 
Mera Naam Hi Likh Do,! 

Chalo Hum Maan Letey Hain 
Keh Saza K Mustahiq Thehrey,! 
Koi Inaam Na likho 
Koi Ilzaam Hi Likh Do,,,

pno Ne Bhi Na Socha Ke Ujronga

Apno Ne Bhi Na Socha Ke Ujronga To Kahan Jaonga MOHSIN
Aashayana Jin Ka Na Ho Wo Prinday AKsar Mar Hi Jate Hain, , , ,

Saturday, 18 January 2014

Sari Umar Apna Banate Rahe Phir Bhi Koi Humara Na Hua

Sari Umar Apna Banate Rahe Phir Bhi Koi Humara Na Hua
"Mohsin"
Pata Nahi Kon Si Wo Mohobbat Thi Jo Hum Day Na Sakay...!

Ishq Me Qalb-o-Jigar B Na Hamary Nikly

Ishq Me Qalb-o-Jigar B Na Hamary Nikly,
Jo B Nikly Wo Taraf'daar Tumhary Nikly,

Kitny Aashiq Hoe Qurban Tuje Maloom Nahi,
Kitny Zalim Teri Nazron Ke Ishaary Nikly,

Tere darya-e Mohabat
Me Mohabat Se Kbi,
Doobny Waly Jo Dooby Na Kinary Nikly,

Kitna Mushkil tha Gham-e-Doran Sy Niklna Lekin,
Hum Jo Nikly To Faqat Un Ke Sahary Nikly,

Mere Mar Jany Ki Wo Sun Ke Khabar Ae ''MohSin''
Ghar Se roty Hoe Bin Zulf Sanwary Nikly...

Koi ILzaam, Koi Tanz, Koi ruswai

Koi ILzaam, Koi Tanz, Koi ruswai.. 
MOHSIN 
Din Bohat Ho Gaye Yaar Ne Koi Inayat Nahi Ki...!

Muhabat ka bharam hota to phir kuch soch kar jaty

Muhabat ka bharam hota to phir kuch soch kar jaty* 
Warna zindgi ban k mery hamdam guzar jaty* 

Thaky hary prindo ko jo dekha to khyal aaya* 
Koi jo muntazir hota to hum b apny ghar jaty* 

Main khaa kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon* 
Ye thokar jo tumhein lagti to tum khud b bikhar jaty* 

Is tanhai ka hum py bara ahsan hy MOHSIN* 
Na deti saath ye apna to jany hum kidhar jaty

Yahan Alfaaz Biktey Hain, TiJaarat Hai Takhiyul Ki.

Yahan Alfaaz Biktey Hain, TiJaarat Hai Takhiyul Ki.
Muhabbat Aik Paisha Hai, Tumhary Sheher Mein Mohsin...

Dil ki Qeemat to Muhabbat k Siwa Kuch na Thi

Dil ki Qeemat to Muhabbat k Siwa Kuch na Thi 
MoHsiN 
Jo b Mily Soorat k Khareedaar Mily.

Friday, 17 January 2014

Parents sms




Kid: Mom i love u more thn u love me

mom: how can u prove this my son

kid: becuz u have 2 son and i have only 1 mom!

Hairaan Yama Khazan K Sra Gulluna Rana Ghwaari

Hairaan Yama Khazan K Sra Gulluna Rana Ghwaari
Zragay Me Lewanay De Dedanuna Rana Ghwaari,

Kisa Ye Charta Wawreda Zama Da Zaray Meeny
Janaan Me Marawar De Jawabuna Rana Ghwaari,

Ghamuna Shogeray Rata Yow Shawi Di Dilbura
Jargay Banday Raghali Di Khoobuna Rana Ghwaari,

Khwaari Me Da Hunnar Rata Be Suda Ghonthy Khkaari
Randha Rapasy Shawi Di Ranguna Rana Ghwaari,

Chappa Da Samandar Yama Maza Banday Rawan Yam
Kho Meena Lewanai Da Ghorzanguna Rana Ghwaari,

Da Khaar Pa Rangeeno K Amokhta Na Sho Khafa De
Zargay Me Bia Da Kali Makhamuna Rana Ghwaari,

Kaghaz Kalam Pa Laas K Sa Mayen Rapasy Shawi
"Ajmala" Auto Graph K De Sheruna Rana Ghwaari.

Nan Me Da Khpalo Armanono Janaza Weste Da




Nan Me Da Khpalo Armanono Janaza Weste Da
Da Khpal Kitaab Na Me Janana Sta Nama Weste Da.

Ma Da Farhad Da Mohabbat Qesa Jawandy Sataly
Ma Da Janan Pa Foladi Zrra Ke Wala Weste Da.

Charta Che Bali Ve Pa Shama Sri Lambe No Halta
Laka Patang Da Khpal Zarrgi Na Ma Lamba Weste Da.

Os Da Tapey Ya Da Qurban Awaz La Kami Rashi
Badbakht Pukhtuna Ta Kho Da Kali Na Hujra Weste Da.

Yao Sta Da Meene Da Gunha Na Tubagar Na Shoma
Nor Ma Da Tolo Gunahono Na Tuba Weste Da

Aqla da ishq na wyara pakar da



Aqla da ishq na wyara pakar da
Ghar k deer loui de pa sar ye laar da,

Pa anangoki de gul tokegi
De zarghoni la veena pakar da,

Sta pa khkula de zama sogand wi
Maza kho tola da intezar da,

Aihsas me khor krra jwand me samsoor ka 
Zwani me wakhla ka sta da kaar da ,

Zama pa stargo ki zaan ta gora 
Che pa ki kheera sta da ruksaar da ,

Ta khaista ye za qadardab yam 
Akhir ba geer she pa ma de laar da.

Urdu Heart Touching Poetry



Kisi ki yaaad main itna udaas naa hua karr

Log Naseeb se miltay hn udasiyon se nhi.

Thursday, 16 January 2014

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vada Bankar

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain

Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain, ,
Us Din Sab Ankhon Se Ansu Barsain Gay, ,
Jo Kehte Hain Ke Bohat Tang Karte Ho Tum, ,
Wohi Meri Ek Ek Shararat Ko Tarsen Gay, , , 

Nafrat Karni Ho To Hum Se Is Qadar Karna

Nafrat Karni Ho To Hum Se Is Qadar Karna, ,
Ke Hum Dunya Se Chale Jayen Or Tumhari Aankh Mai Ek Anso Tak Na Aye, , ,

Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna

Muskan Banaye Rakho To Dunya Hai Sath Warna, ,
Aansoun Ko To Ankhon Main Bhi Panah Nahi Milti, , ,

Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka

Wo Apni Neendon Ki Khumari Main Mera Haal Tak Na Poch Saka. 
Mere Aansuon ki Tip Tip ko wo Barish Samajh k so Gaya..

Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati

Mujhe aaj bhi us k pyar ki shiddat ronay nahin dati. 
Wo kehtia tha mar jaonga tere ansuon k girne se pehly.

Jin k Dil Pe Lagti hy Wo Ankho se Nhi Rote

Jin k Dil Pe Lagti hy Wo Ankho se Nhi Rote 
Jo Apno k Nhi hue Wo kisi k Nhi hote 
Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sekhaya hy 
Sapne Tot Jate hein Pr Pore Nhi hote.

Apni To Zndgi ki Ajeb kahani hai

Apni To Zndgi ki Ajeb kahani hai 
Jis Chez ko Chaha Wo Hi Begani ha 
Hste hain Dunia ko Hsney k Liye Wrna 
Dunia Dob Jaye In Ankhn Main Itna Pani hai.

Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte

Aye Dil Bas Kar Itna Bhi Kisi Ko Chaha Nahi Karte," 
Jub Chahat Ki Qadar Na Rahe Phir Kisi Ko Socha Nahi Karte," 

Gawah Hain Humare Ye Chand Sitare Sab K Sab," 
Hum Tere Gham Main Raat Bhar Soya Nahi Karte," 

Koi Dekhe Ga To Tujhe Hi Gunhagar Thehraye Ga," 
Iss Dar Se Hum Palkon Pey Ansoo Laya Nahi Karte," 

Jub Kisi Ko Paaney Ki Umeed Baaqi Na Rahe," 
Phir Kisi Ko Youn Rab Se Bhi Maanga Nahi Karte

Majburi me jab k0i juda hota hai

Majburi me jab k0i juda hota hai, 
Zaruri nahi k wo be'wafa hota hai., 
De kar wo apki aankhon me ansu, 
Akele me ap se bhi zyada rota hai.

Kbi Kabi To Ro Parti Hain Yunhi Ankhen

Kbi Kabi To Ro Parti Hain Yunhi Ankhen, 
Udas Hone Ka Koi Sbab Nhi Hota 

Main Apne DiL Ko Ye Bat Kese Smjhaun, 
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nhi hota.

Ye Ansoo Ye Ghum Kum Ni Hongy

Ye Ansoo Ye Ghum Kum Ni Hongy,
Ye Yaaden Ye Lamhy Har Pal Ni Hongy,

Bitaa Lia Karo Kuch Pal Hamary Sath,
Boht Yaad Karo Gy Jab Hum Nai Honge..!

waqt to humain bhula chuka hai muqadar bhi na bhula de

waqt to humain bhula chuka hai muqadar bhi na bhula de" 
mohabat hum is dar se nahi karte ke koi phir se na rula de"

Tere Ansu Meri Zindagi Se Zayada Qeemti Hain.......???

Tere Ansu Meri Zindagi Se Zayada Qeemti Hain.......???
Teri Palkon Pe In ka Ana Mujhy Acha Nahi Lagta....

Ro Rahay Hien Aj Hum Bhi Ye Qasoor Faqat Hamara Hai

Ro Rahay Hien Aj Hum Bhi Ye Qasoor Faqat Hamara Hai. 
Hanstay Thay Hum Bhi KabhI M0HABBAT karnay Walon Par,...!

Kuch raaz hai jo bataye nai jatekuch anso hai jo girai nhi jaty

Kuch raaz hai jo bataye nai jate 
kuch anso hai jo girai nhi jaty" 

Hum wo badnaseeb hen jo yad nai ate" 
Or ap wo khushnaseeb hen jo bhulaye nai jaty.

Main roya nai rulaya gaya hon

Main roya nai rulaya gaya hon, 
Bana kr pasand phir thuraya gaya hon. 

Chor diya gaya taqdeer k sahare, 
Pyar k naam pe jalaya gaya hon. 

Bht hi narm-o-nazuk tha mizaj apna, 
Jeety je khak me milaya gaya hon. 

Mareez-e-muhabat ko gulab raas kahan, 
Hamesha k liye kanto pr sulaya gaya hon. 

Be mout na marta to kia krta? 
Bhari dunya me yun sataya gaya hon. 

Kbhi jo palkon pe naaz uthate thy, 
Aaj usi nazar se giraya gaya ho.

Parhnay walon ka Qehat hy Warna

Parhnay walon ka Qehat hy Warna 
Girty Aansu kitab Hoty Hain...........!

Logo Ne Mere Ghum Ka Tamasha Bna Dia

Logo Ne Mere Ghum Ka Tamasha Bna Dia
Mere Chaman K Sth Mera Dil B Jala Dia

APNO Ne Meri Dosti Ka Kuch U SILA Dia
ULFAT K Badly Khoon K AANSO Rula Dia....

Tumhy Apni Ankhon Mein Nahi Rakha,Kahin Aanson K Saath Beh Na Jao

Tumhy Apni Ankhon Mein Nahi Rakha, 
Kahin Aanson K Saath Beh Na Jao. 
Tumhy Apny Dil Main Rakha hai, 
Taa k Har Dharkan K Saath Yaad Aao..

Ye Zamana Jal Jaaye Ga Kisi Sholay Ki Tarah



Ye Zamana Jal Jaaye Ga Kisi Sholay Ki Tarah... 

Jab Mere Haath Mein Khankey Ga 
UsKa Kangan

bh00l jata h00n main sitam usky

bh00l jata h00n main sitam usky..! 

w0 kuch is sadgee sy milta hai...

Aawargi Main MOHSIN Is Ko Bhi Hunar Jana

Aawargi Main MOHSIN Is Ko Bhi Hunar Jana,, 
Iqrar_e_Wafa Karna Pir Us Sy Mukar Jana,, 

Jab Khwab Nahi Koi, Kya Zindagi Ka Karna 
Har Subh Ko Jee Utthna Har Raat Ko Mar Jana,, 

Shab Bhar K Thikany Ko ik Chatt K Siwa Kya Hai,, 
Kya Waqt Kya Ghar Jana, Kya Dair Se Ghar Jana,, 

Aisa Na Ho Darya Main Tum Baar_e_Giraa'n Thehro,, 
Jab Log Zyada Hon Kashti Sy Uttar Jana,, 

Suqraat K Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota,, 
Khud Zeher Piya Mian Ne Tab UsKa Asar Jana,, 

Jab B Nazar Aao Gye 
Hum Tum Ko Pukaren Gaye,, 
Chaho To Thehar Jana Chaho To Guzar Jana…

Wohi Hath Kisi Aur K Hathoon Mein Hai To Ajeeb Lagta Hai

Wohi Hath Kisi Aur K Hathoon Mein Hai 
To Ajeeb Lagta Hai "Mohsin" 
Jin Haathon Ki Chorriyan Kabhi 
Tooti Thi Mere Haathon Mein...

Hamesha Dair Se Samajhta Hun Zindagi K Dao-Paich

Hamesha Dair Se Samajhta Hun Zindagi K Dao-Paich... 

Aur Phir Qismat Jeet Jati Hai Mere ChaLaak Hone Tak...

Mere MatLab Ka Shakhs Tha Wo

Mere MatLab Ka Shakhs Tha Wo,,, 

Afsooos... 
K Matlabi Niklaaa.

Tujh Se Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum

Tujh Se Mil Kar Bhi Kuch Khafa Hain Hum, 
Be-Murawwat Nahi Tu Aur Kya Hain Hum. 
Hum Gham-E-Kaarwan Me Behte The, 
Log Samjhe K Shikasta-Paa Hain Hum. 

Is Tarah Se Hamein Raqeeb Mile, 
Jaise Muddat K Aashna Hain Hum, 
Raakh Hain Hum Agar Ye Aag Bujhe. 
Juz Dard-O-Gham Ka Aur Kya Hain Hum. 

Khud Ko Sunte Hain Is Tarah Jaise. 
Waqt Ki Aakhri Saada Hain Hum, 
Kiun Zamane Ko Ilzaam Dein 
Wo Nahi Hain Tu Be-Wafa Hain Hum

Mukar Gaya Hai Wo Chahton Sy

Mukar Gaya Hai Wo Chahton Sy.. 

Meri AdaTon Ko Kharab Kar Ky

Labels